Maa ne mujhe is tarah pala hai
Nakhuda ne kashti ko jaise toofan mein sambhala hai
Meri shararton se jo hansi us ke chehre par aai hai
Yeh saughat baharon ne bhi nahin paai hai
Us ki be-laus mohabbat ka mujh par jo saaya hai
Kisi rishte ne woh mokaam nahin paaya hai
Pakad kar haath mera jo chalna sikhaya hai
Aaj tak aisa rahbar main ne nahin paaya hai
Mere dukh se jo sailaab uski aankh mein aata hai
Samundar bhi us toofan ka taab nahin laata hai
Aashyane mein mere aaj aaram bahaut hai
Maa ke aanchal mein sakoon bahaut hai
Jiske pairon ke neeche jannat hai
Yeh khuda ki,hum sab ko sab se badi nehmat hai
Aa mujh ko phir ik baar seene se laga le maa
Apna chanda,apna suraj,apna raja, in naamo se bula le maa
Bahaut roya hoon main tere aanchal se bichar kar
Phir gud-gudiya karke woh bachpan wali mujhe,hasa le maa
Maa teri gaud ka mujhe woh sahara de de
Bartan mein jo dikhaati thi,woh sitara de de
Maa mujhe suna woh loriyan bachpan ki
Maa mujhe ik baar phir se woh nazara de de
Ban ke rahoon sadda tera laadla main
Teri gaud mein le kar mujhe,yeh jahan saara de de
Teri raahon mein main khud ko rakh doon
Maa mujhe tu khidmat karne ka phir ishara de de
No comments:
Post a Comment