Friday, July 31, 2009

Saffaak Thi Woh Bhi,Chaalaak Thi Woh Bhi

Khilwat mein khula hum pe k baibaak thi woh bhi
Mohtaat thay hum laug bhi,chaalaak thi woh bhi
.
.
Afkaar mein hum laug bhi thehray thay qadd aawar!
Pindaar mein "Hum qaamat-e-afllaak" thi woh bhi
.
.
Ussay paas-e-adab,sang sift azm tha uska
Ussay sail talab,surat-e-khashaak thi woh bhi
.
.
Jiss shab ka giraibaan tere haathon se hua chaak
Aey subah k suraj,meri poshaak thi woh bhi
.
.
Ik shokh kiran choomnay utri thi gulon ko
Kuch dair mein paiwast-e-rage-khaak thi woh bhi
.
.
Jiss aankh ki junbish pe hueen nasb saleebain
Maqtil mein humain dekh k namnaak thi woh bhi
.
.
Dekha jo ussay,koi kashish hi na thi us mein
Socha jo ussay,haasil aur idraak thi woh bhi
.
.
Jo harf mere lab pe raha zehr tha  faysal
Jo saans mere tann mein thi,saffaak thi woh bhi...!!! 
__________________

No comments:

Popular Posts