Kahan hai roh kahan dil kahan laho mujh main
sar-e-wajoud koe hai tu sirf tu mujh main
kuch es tarha se hoa hai dayar-e-dil barbaad
machi hoe hai har ek simt haao ho mujh main
meray wajoud se bahar koe hareef nahi
chopa hoa hai kahen par mera adoo mujh main
tu pher ye ishq k dawe tamaam jhotay hain
sama saka jo na main tujh main aur tu mujh main
kabhi naiga ko bhatakne nahi diya us ne
wo eak shaks k rehta hai Qibla ro mujh main
jo muztarib hai ragoun main laho nahi faysal
ye rahru hai koe mehwe justajo mujh main

No comments:
Post a Comment