sunder sunder sapney they
kia kuch socha kartey they
sawan ki barsatoon mein
roshan chandni raton mein
khuab huwein woh batein sab
ghor howein woh ratein sab
sunder sapna toot gaya
tha jo sathi rooth gaya
aab dil ko behlatey hein
uskoo yey samjhatey hein
sapney tu bus sapney hein
sapney toot hi jatey hein
sapnoon ka phir rona kia
ro ro jewan khona kia
geet khushi key gata chal
her gham ko thukrata chal
bhool ja beti batoon ko
roshan chandni ratoon ko
par dil tu bus dil he hey
ziddi nadan pagal hey
kitna hi samjhao isko
kitna hi behlao isko
bhuley na yey beti batein
her janib hein bikhri yadein
yadoon ka aazab hey tari
ashkoon ka selab hey jari
gham khushyon sey jeet gaya hey
sukh ka sawan beet gaya hey
raat guzarna baqi hey
sans ka chalna baqi hey
No comments:
Post a Comment