Friday, August 13, 2010

Chand Chehra Gulab Lab uskay hum pe wajib hay muhabbat karna



Chand Chehra Gulab Lab uskay
ham pe wajib hay muhabbat karna

mazhabe ishq ka rukan thehra
raat din dard tilawat karna

uskay ankhon k samnadar ka kanwal~
Dil k sehra pe qayyamat karna

chor kar lafz yadgaron se
rooth jaoungi gila mat karna

Uss Lamhay se iss Lamhay tak'

kal shaam thi kesi shaam udas~
wo shaks jo khawabon jesa tha,
Rangeen gulabon jesa tha,
wo jiski batain khushbu si
awaz thi jiski jadu si,
wo bolay to uss laehjay se,
kuch phool bikhar se jatay thay
ham bat kahan phir suntay thay...?
bus ankhom main kho jatay thay
tasweer se uski lag ker Ham
is dil ki batain kehtay thay
kehtay kehtay so jatay thay

wo chalta tha to chand usay
jhuk jhuk ker dekha karta tha
ye pagal si madhosh hawa
usay choonay ko ruk jati thi,
wo hont gulabon jese thay
wo jin se paani peeta tha
to dil main hasrat utthi thi
ay Kash katora hotay ham
un hoton ko choo laitay ham!

kal sham thi kesi sham kanwal...?
wo behkay behkay qadmon se
chal ker aya, kuch paas hua
un narm gulabi honton nay
ye hont chooye, ye jism chooa
ham ankh jhapakna bhool gaye,
phir palkain sharm se mond gaain,
us lamhay ye ehsas hua
un narm gulabi honton se,
hay jism ye sara mehka sa
har qadam hay kuch kuch behka sa,
uski sanson main ghul ker ham!
jis lamhay ko madhosh huay,
wo muska ker kuch dooor hata,
or See You" keh kar lout gaya!

or ham gum sum se chup chup se,
us lamhay se is s lamhay tak,
un lamhon ka ehsas liye
kuch mann hi mann main soch rahay!
un lamhon ka ehsas meri
rag rag main behta jata hay
us lamhay se iss lamhay tak
ye jism mehakta jata hay

No comments:

Popular Posts