Sunday, August 11, 2013

ab bhala chhor k ghar kia kartay

ab bhala chhor k ghar kia kartay
Shaam k waqt safar kia kartay

Tairi masroofiyatain jantay thay
Apnay aanay ki khabar kia kartay

Jab sitaaray hi nahi mil paaey
Lay k hum Shams- o- Qamar kia kartay

Woh musafir hi khuli dhoop ka tha
Saaey phaila k shajar kia kartay

Khaak hi awwal-o-aakhir thehri!!!
Kar k zarray ko gohaar kia kartay

Raaey pahlay sy hi bana li tu nay
Dil main aab hum tairy ghr kia kartay

Ishq nay saaray saleekay bakhshay
Husan say kasb-e-hunar kia kartay

No comments:

Popular Posts