cherey perhta, aankhain likhta rehta hoon
main bhi kaise batain likhta rehta hoon ?
saray jism darakhtoon jaise lagtay hain
aur bahoon ko shakhain likhta rehta hoon
tujh ko khat likhnay ke taiwar bhool gia
aarhi tirchi satrain likhta rehta hoon
tere hijr main aur mujhe kia kerna hai
tere naam kitabain likhta rehta hoon
tujh se mill ker saray dukh dohraoon ga
hijr ki sari batain likhta rehta hoon
sookhay phool, kitabain, zakham judai ke
teri sab soghatain likhta rehta hoon
us ki bheegi palkain hansti rehti hain
MOHSIN jab tuk ghazlain likhta rehta hoon
No comments:
Post a Comment