Zindagi talkh haqeeqat kay siwa kuch bhi nahi
Merey daaman mein silwatoon kay siwa kuch bhi nahi
Aik omar lagi taraashney mein khud ko magar
Mila haathoon ko zakhmoon kay siwa kuch bhi nahi
Bazahir dil to har aik baat par dharakta hai
Warna is mein teri murat kay siwa kuch bhi nahi
Raas aaya hi nahi haqeeqat kay ujaloon ka safar
Aur takhaiuul mein bhi andheroon kay siwa kuch bhi nahi
Main ney sehraa-e-zeest mein barsoon khaak chaani hai
Reh gaya jholi mein wehshatoon kay siwa kuch bhi nahi
Silsiley teri mulaqatoon kay, terey khayaal kay
Aur aankhoon mein ratjagoon kay siwa kuch bhi nahi
Kabhi jo dekhta hoon deevar-o-dar apney makaan kay
Nazar aata hai mujhey patharoon kay siwa kuch bhi nahi
Kia dhoondtey ho Waris~, khizaan ki manind wujood mein tum
Is shajar mein sookhey pattoon kay siwa kuch bhi nahi
No comments:
Post a Comment