Dhal gaee shaam intezaar-e-yaar main
Hota hay yehi aksar aitbaar main
Wo phool jo kisi kay piyaar main khilay
Murjha gaye usi kay intezaar main
Duniyaan ki ronaqain younhin simat gaeen
Ban ker wafa nigaah-e-ashkbaar main
Sazish nahin kisi ki qismat ki baywafaee
Dooba hua jiger hay intishaar main
Weeraniyon kay dayray zameen-o-aasman pay
Kahin koi khushi nahin ikhtiyaar main
Dherkan main jaagti jeeti jawan umang
Qaid ho gaee hay kisi mazaar main
Muskaan-e-shab koi chandi thi shayad
Toota sitara daykha deedar-e-yaar main
Khushboo khareed layna sasti milay jo shahm
Girti hain roz qeematain lalazaar main.
No comments:
Post a Comment