Friday, June 4, 2010

Mujhay appnay zabt pay naaz tha


Mujhay appnay zabt pay naaz tha 
sar-e-bazm raat yah kia hua 
meri ankh kaisay chalak gai 
mujhay ranj hai yah bura hua 
meri zindagi kay chiragh ka 
yah mezaj kuch naya nahi 
abhi roshni abhi teergi 
na jala hua na bujha hua 
mujhay jo bhi dushman-e-jan mila 
wo pukhta kar-e-jehan mila 
na kisi ki zerb ghalat pari 
na kisi ka teer khata hua 
mujhay rastay main para hau 
aik ajnabi ka khat mila 
kahin khoon-e-dil say likha hua 
kahin ansoun say mita hua 
mujhay humsufer bhi mila to woo 
sitam zareef meri tarah 
kai manzilon ka thaka hua 
kai raston main lutta hua

No comments:

Popular Posts