Ranjish hi sahi dil hi dukhane kay liye aa
Aa phir se mujhe chor jaane kay liye aa
Pehle se maraseem na sahi phir bhi kabhi tu
Rasm-o-raah duniya hi nibhaney k liye aa
Kis kis ko batayenge judaai ka sabab hum
Tu mujhse khafaa hai tu zamaane kay liye aa
Kuch tu mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
Tu bhi to kabhi mujh ko manaane kay liye aa
Aik umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi meharoom
Aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane kay liye aa
Ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain umeedein
Yeh aakhri shamein bhi bujhaane kay liye aa
No comments:
Post a Comment