Raah-e-talib mein kon kisi kaa, apne bhi begaane hain
Chand sey mukhre rashk-e-Ghazlaan sab jaane pehchane hain
Uff yeh talaash-e-husn-o-haqeeqat kis jaa thehrein jaayein kahan
Sehan-e-chaman mein phool khiley hain sehra mein deewane hain
Tanhayi hi tanhayi hai kaise kahein kaise samajhayein
chashmo-o-lab-o-rukhsaar ki tah mein Rooho'on kay viraaney hain
Apne wujood ki mastii sey hamari needon ke ahwaal na pooch
Qadam qadam par ched Khirad se nafs nafs may'khane hain
Dil aakhir thak haar kay yaaro ham ne bhi tasleem kiya
Apni zaat se ishq hai sacha baaqi sab afsaney hain
No comments:
Post a Comment