Sunday, July 4, 2010

Aankh se door na ho dil se utar jayega



Aankh se door na ho dil se utar jayega
Waqt kaa kya hai guzarata hai guzar jayega

Itna maanuus na ho Khilvat-e-Gham se apni
Tu kabhi Khud ko bhi dekhega to darr jayega

Tum sar-e-raah-e-wafaa dekhte rah jaaoge
Aur woh baam-e-rafaaqat se utar jayega

Zindagii teri ataa hai to ye jaan'ne wala
Terii baKhshiish terii dehleez pe dhar jaaega

Doobte Doobte kashtii to ochhaalaa de doon
Main nahi koi to saahil pe utar jayega

Zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
Zalim ab ke bhi na royega to mar jayega

No comments:

Popular Posts