Sunday, July 4, 2010

Meri Zaat Zarra-e-Benishan


Tere siwa kya jaane koi dil ki haalat Rabba
Saamne tere guzri mujh per kesi qayamat Rabba


main wo kis tarah se karoon bayaan
jo kiye gae hain sitam yahaan
sune kon meri ye daastan
koi hamnasheen he na raazdaan
jo tha jhoot wo bana sach yahaan
nahi kholi mene magar zubaan
ye akela pan, ye udaasiyaan
meri zindagi ki hain tarjumaan

Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan



kabhi sooni subh main ghoomna
kabhi ujri shaamon ko dekhna
kabhi bheegi aankhon se jaagna
kabhi beete lamhon ko sochna
magar aik pal he ummeed ka
he mujhe Khuda ka jo aasra
na hi mene koi gila kiya
na hi mene di hain duhaaiyaan

Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan


main bataoun kya, mujhe kya mile?
mujhe sabr hi ka sila mile
kisi aagahi ki rida mile
kisi dard hi ka sira mile
kisi gham ki dil me jagah mile
jo mera he wo mujhe aa mile
rahe shaad yoon hi mera jahaan
ke yaqeen me badle mera gumaan

Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan

No comments:

Popular Posts