Sunday, July 4, 2010

Wohi galiyaan,wohi koochey wohi sardi ka mausam hai


Wohi galiyaan,wohi koochey wohi sardi ka mausam hai
Issi andaaz sey apna nizaam-e-zeest barham hai

yeh husn-e-itefaaq aisa kay nikhrii chandni bhi hai
Wohi har simm't veraani,udaasi tishnagi si hai

Wohi bheer sochoon ki, wohi tanhaiyaan phir se
Musafir ajnabi aur dasht ki panhaiyaan phir se

Mujhe sab yaad hai, kuch saal pehle ka yeh qissa hai
Wohi lamhey tu viraney ka ik abaad hissa hai

Meri ankhon mein woh ik lamha maujood ab bhi hai
Woh zinda raat mere saath lakhoon bar jaagi hai

Kissi ne raat ki tanhayi mein sarghoshiyaan ki thii'n
Kissi ki narm-guftaari ne dil ko loriyaan di thii'n

Kissi ne meri tanhayi ka sara qurb ban'ta tha
Kissi ne raat ki chunri mein roshan chaand tan'ka tha

Chamktey jugnoo'on ka ik cell bakhshaa tha ratoon ko
Dharakta sa anwaan diya tha mere khawaboon ko

Mere shairo'on mein ilhaam ki soorat utra tha
Maafi ban kay jo lafzoon mein pehli bar dharka tha

No comments:

Popular Posts