Sunday, July 4, 2010

Dil kay sun'saan jaziroo'n ki khabar layega



Dil kay sun'saan jaziroo'n ki khabar layega
Dard pehlu sey judaa ho ke kahan jayega

Kon hotaa hai kisi kaa shab-e-tanhayi mein
Gham-e-furqat hi Gham-e-ishq ko bhelayega

Chand ke pehlu mein dam saadh ke roti hai kiran
Aaj taaro'on ka fusuon khaak nazar ayega

Raakh mein aag dabii hai gham-e-meharumi ki
Raakh ho kar bhi yeh shola hamein sulgayega

Waqt Khaamosh hai roothey huwe yaaro'on ki tarah
Kon lau detey huwe zakhmo'on ko sehlayega

Dhoop ko dekh kay us jism pe par'ti hai jhamak
Chaa'on dekheinge to us zulf ka dheyaan ayega

Zindagi chal kay zaraa maut kaa dam'kham dekhein
Warna yeh jazbaa lahad tak hamein le jayega

No comments:

Popular Posts