Jiss simt bhi dekhoon nazar ataa hai kay tum ho
Ay jaan-e-jahaan ye koi tumsa hai kay tum ho
Yeh khwaab hai khushboo hai kay jhonka hai kay pal hai
Yeh dhund hai baadal hai kay saya hai kay tum ho
Iss dee'd ki saa't main kayii rang hain larzaan
Main hoon kay koi aur hai duniya hai kay tum ho
Dekho yeh kissi aur ki abkhein hain kay meri
Dekhoon yeh kissi aur ka chehra hai kay tum ho
Yeh umr-e-gurezaan kaheen thehrey tu yeh janoon
Har sanss mein mujhko yeh lagta hai kay tum ho
Har bazm mein mozu-e-sukhan dil zad'gaan ka
Ab kon hai sheeren hai kay Laila hai kay tum ho
Aik dard ka phelaa huwa sehraa hai kay main hoon
Aik mauj main aya huwa durriya hai kay tum ho
Woh waqt na aye kay dil-e-zaar bhi soche
Iss shehar main tanha koi humsa hai kay tum ho
Aabaad hum aashufta saron se nahi maqtal
Yeh rasm abhi shehar main zinda hai kay tum ho
Ay jaan-e-Faraz itni bhi taufeeq kisse thi
Humko gham-e-hasti bhi ganwaara hai kay tum ho
No comments:
Post a Comment