Khwaab-nagar hai aankhein kholey dekh rahaa hoon
Usko apni jaanib aatey dekh raha hoon
Kiss ki aahat qarya qarya phail rahi hai
Deewaroon kay rang badalte dekh raha hoon
Kon mere jaadu sey bach kar jaa saktaa hai!
Aainaa hoon, sab kay chehre dekh raha hoon
Darwazey par taiz hawa'oN ka pehraa hai
Ghar ke andar chup kay saaye dekh raha hoon
Jaise mera chehra mere dushman kaa ho
aainey mein khud ko aise dekh raha hoon
Manzar manzar viraani ney jaal taaney hain
Gulshan gulshan bikhrey pattey dekh raha hoon
Manzil manzil hol mein Doubi awazein hain
Rasta rasta Khauf kay pehrey dekh raha hoon
Shehar-e-sangdil mein Amjad har raste par
awazoN kay patthar chalte dekh raha hoon
No comments:
Post a Comment