Sunday, July 4, 2010

Tu bata ay dil-e- betaab, kahan aatey hain


Tu bata ay dil-e- betaab, kahan aatey hain
Humko khush rehney kay aadaab kahan aatey hain

Mein to yakmusht usey sonp doon sab-kuch lekin
Aik muthi mein merey khwaab kahan aatey hain

Muddaton baad tujhey dekh kay dil bhar aaya
Warna sehraon mein sailaab kahan aatey hain

Meri bedaar nigahon mein agar bhooley se
Neend aaye bhi to ab khwaab kahan aatey hain

Shiddat-e-dard hai ya kasrat-e-mai-noshi hai
Hosh mein ab terey betaab kahan aatey hain

Hum kissi tarah terey dar pe thikana kar lein
Hum faqiron ko ye aadaab kahan aatey hain

Sar-basar jin mein faqat teri jhalak milti thi
Ab muyassar hamein who khwaab kahan aatey hain

No comments:

Popular Posts