Jo bhi dukh yaad na tha yaad aya
Ajj kya janiye kya yaad aya
Phir koi hath hai dil par jaise
Phir tera ahd-e-wafa yaad aya
Jiss tarah dhund main liptey huwe phool
Aik aik naqsh tera yaad aya
Aisi majboori kay aalam main koi
Yaad aya bhi tu kya yaad aya
Aye rafiqoon sar-e-manzil ja kar
Kya koi abla'pa yaad aya
Yaad aya tha bicharna tera
Phir nahi yaad kay kya yaad aya
Jab koi zakhm bhara daagh bana
Jab koi bhool gaya yaad aya
Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz
Jis ko bhoole woh sada yaad aya
No comments:
Post a Comment