Woh dey raha hai dilasey tu umar bhar kay mujhe
Bichar najaye kahiin phir udaas kar kay mujhe
Jahan na tu na teri yaad kay qadam honge
Darra rahe hain wohi marhaley safar kay mujhe
Huwa-e-dasht mujhe ab tu ajnabi na samanjh
Kay ab tu bhool gaye rastey bhi ghar kay mujhe
Yeh chand ashk tere hain shaam-e-gham lekin
Ujalne hain abhi haal-o-wakhd seher kay mujhe
Dil tabah tere gham ko talney kay liye
Suna raha hai afsaney idher udher kay mujhe
Qabay-e-zakham badan per saja kay nikla hoon
Woh ab mila bhi tu dekhe ga ankh bhar kay mujhe
Kuch iss liye bhi ous se bichar gaya Mohsin
Woh dour dour sey dekhey tehar tehar kay Mujhe
No comments:
Post a Comment