Woh nazar se tu door hain, magar yeh ajeeb soorat-e-haal hai
Har waqt pesh-e-nazar bhi hain, na firaak hai na visaal hai
Na woh hum se kum na hum unse kum, woh udhar khafa hum idher khafa
Na inhein humara khayal hai, na humein deemagh-e-sawal hai
Yehi Qurbatein yehi fasley tu khaloos-e-ishq ki jaan hain
Kabhi gird-e-ranj o malal hai, kabhi fikar yeh pesh-e-haal hai
Yeh tumhari kaj adhaiyan koi aur seh kar dikhaye tu
Yeh jo hum mein tum mein nibah hai , yeh mere hosle ka kamaal hai
Mujhe iss ka koi bhi gham nahi kay kissi ne mujhse wafa nahi ki
Main kissi kay kaam na asaka , mujhe sirf iska malal hai
Jo guzar rahi hai guzaar do, Na bura kaho na gila karo
Jo tumhara haal hai dostoo, wohi sarey shehar ka haal hai
Woh kahan se laon roshni? Jo kissi kay shehar main lut gayi
Woh ainoo ka shehar bhi lut gaya, mujhey iska aur malal hai
No comments:
Post a Comment