ek muddat hui ek zamaana hua
Khaak-e-gulshan main jab aashiyaana hua
...
zulf-e-barham ki jab se shanaasaee hui
zindagii kaa chalan mujremaanaa hua
phuul jalte rahe chand hansta raha
aarazuu kaa muqammal fasaana hua
daag dil ke shahanshah ke sikke bane
dil kaa muflis-kadaa jab Khazaana hua
rehbar ne palat kar na dekha kabhi
rah-o-raaste ka nishaana hua
ham jahaan bhi gaye zauq-e-sajdaa liye
har jagah aap ka astaana hua
dekh mizaraab se khuun tapakane lagaa
saaz kaa taar marg-e-taraana hua
pehlay hoti thi koi wafa parvari
ab to Saagar ye qissaa purana hua
No comments:
Post a Comment