Aankhon se meri is liye laali nahi jati
Yadon se koi raat jo khaali nahi jati
Ab umr na mosam na wo rustay keh wo pultay
Is dil ki mager khaam khayali nahi jati
Mangay ager tu jaan bhi tow huss ke tujhe de dein
Teri to koi baat bhi taali nahi jaati
Aaye koi aaker ye tere dard sambhalay
Hum se to ye jaageer sambhali nahi jaati
Maloom hamain bhi hain bohut se teray qissay
Per baat teri hum se uchali nahi jaati
Humrah teray phool khilati thi jo dil mey
Ab shaam wohi dard se khaali nahi jaati
Hum jaan se jayein gay tabhi baat banay gi
Tum se to koi rah nikali nahi jaati
No comments:
Post a Comment