la phir ik baar wohi bada-o-jaam ay saqi
haath aa jaye mujhe mera maqaam ay saqi
teen so saal se hein hind ke maikhane bund
ab munasib hai tera faiz ho aam ay saqi
meri meenaye ghazal mein thi zara si baqi
shaikh kehta hai ke hai yeh bhi haram ay saqi
sher mardo se howa beshae tehqeeq tahi
reh gaye sufi-o-mulla ke ghulam ay saqi
ishq ki tegh-e-jigardar urali kis ne?
ilm ke haath mein khali hai nayam ay saqi
seena roshan ho to hai soz-o-sukhan ain hayat
hona roshan to sukhan marg-e-dawam ay saqi
tu meri raat ko mehtaab se mehroom na rakh
tere paimane mein hai maahe tamaam ay saqi
la phir ik baar wohi bada-o-jaam ay saqi
haath aa jaye mujhe mera maqaam ay saqi...
2 comments:
Great words by Allama Iqbal.
out standing
Post a Comment