Sunday, July 18, 2010

Kitna Aasan Mohabbat Mein Hai Dhoka Karna


Kitna Aasan Mohabbat Mein Hai Dhoka Karna,
Warna Ye Ishq Faqat Sar Ka Hai Sauda Karna,

Kisko Aata Hai Bhala E'hd-E-Wafa Karna,
Warna Aata Hai Yahan Sabko Hi Dawa Karna,

Tumne Sikhi Hai Kahan Zikr Ye Be-Jaa Karna,
Baaton Baaton Mein Kisi Baat Pe Uljha Karna,

Apne Kehne Ka Bharam Rakh Na Sakoge Tum Bhi,
Phir Kahoge Kabhi Aisa, Kabhi Waisa Karna,

Tum Na Maanoge Kabhi Apni Khatayein Lekin,
Kabhi Fursat Mein Meri Baat Pe Socha Karna,

Jo Hua Mujhpe Ganwara Hai Mujhi Ko Lekin,
Phir Naa Is Tarah Kisi Aur Ko Ruswa Karna,

Chand Lamhon Mein Bikhar Jaat Hai Dilki Duniya,
Umr Lagti Hai Use Jod Ke Yak-Jaa Karna,

Ye Bhi Neki Hai Agar Jaan Lo Sab Se Badh Kar,
Dost Dushman Ke Kisse E'yb Ka Pardaa Karna,

Kaun Sikhlayega Hoti Hai Bhalayi Kaise?
Hai Bura Kaam, Burayi Ka Bhi Charcha Karna,

Tum Na Reh Paoge Insaano Ke Jangal Mein Agar,
Phir Kahin Door Pahadon Pe Basera Karna,

Tum Chale Jao, Palat Kar Nahi Dekhein Tumko,
Shart Ye Ke Khayalon Se Na Guzra Karna,

Doob Jaoge To Saahil Bhi Nai Paaoge Kahin,
Meri Aankhon Ke Samudnar Mein Na Utra Karna,

Ashq Behte Hai To Behne Do Khuda Ke Aage,
Hoon Nadamat Ke, To Sehra Ko Bhi Daryaa Karna,

Thak Gayi Chalte Hue Baad-E-Mukalif
Rukh Hawaon Ka Idhar Bhi Kabhi Moda Karna...

No comments:

Popular Posts