Sunday, July 18, 2010

Bhoolna Itna Aasan Nahi Ke Main Tujhe Bhool Jaun


Bhoolna Itna Aasan Nahi,
Ke Main Tujhe Bhool Jaun,
Maine Usko Ye Samjhaya,
Ke Bhoolna Itna Asan Nahi,
Tu Agar Dilki Dhadkan Hota,
To Mera Dil Dhadkana Bhul Jata,
Tu Agar Saanso Mein Jee Raha Hota,
To Saanso Ki Dor To Hoti Hi Kachhi Hai,
Tu Agar Khayalon Ka Markaz Hota,
To Main Hosh-O-Khird Se Begana Hota,
Magar Afsos,
Tu To Meri Rooh Ka Humzaad Hai,
Us Mein Azal Se Lekar Abad Tak Abaad Hai,
Aur Rooh Kabhi Fanaa Hoti Nahi,
Kabhi Mitii Mein Jaa Kar Soti Nahi,
Kabhi Dilki Tarah Roti Nahi,
Saans Ki Dor Ki Tarah Kachhi Hoti Nahi,
Jab Rooh Se Talluq Toot Sakta Nahi,
Aur Khuda Bhi Usko Bhool Sakta Nahi,
To Aye Qarar-E-Dil,
Aaj Tu Itna Jaan Le Ke,
Bhoolna Itna Aasan To Nahi...

No comments:

Popular Posts