Wo Ek Nazuk Si Ladki,
Baraf Ke Gale Se Nazuk Tar,
Hawa Mein Jhulti Sakoon Ki Khushbu,
Uska Lehja Tha,
Chamakte Paniyon Jaisi Subakru,
Uski Baatein Thi,
Wo Udti Titliyon Ke Rang Pehne,
Jab Mujhe Takti,
To Aankhein Meech Leti,
Magar Ab Wo Nahi Hai,
Baraf Ke Gale Bhi Gayab Hai,
Hawa Mein Jhulti Shakhon Mein,
Lehja Hai Na Khushbu Hai,
Chamakte Paniyon Par Tairte Hai,
Khadkhadate Zard Ru Patte,
Wo Udti Titliyan Jinke Paron Par,
Uski Rangat Thi,
Khuda Jaane Kahan Kis Haal Mein Hai,
Main Har Ujde Mausam Mein,
Usko Yaad Karta Hoon,
To Aankhein Meech Leta Hoon...
No comments:
Post a Comment