Thursday, July 1, 2010

Ab mien Aksar kuch soochta rehta hon


Ab mien Aksar kuch soochta rehta hon
chalte chalte achaanak theher jata hon

inhi soochon mien meri zindagi guzar gaye
ab mien har waqt maazi ko kosta rehta hon

na jane woh kia lamha tha mien ne zindagi ko kho dia
ab mien moot ki Ahton ko sunta rehta hon

apne kiye pe ab mien buhat pashemaan hon
apne kiye pe ab mien soochta rehta hon

zindagi ke woh nayab lamhey be maqsad guzare
Ab inhi lamhon ko har waqt soochta rehta hon

No comments:

Popular Posts