Mitti Ki IMarat Saya De Kar Mitti Mein HuMwaar Hui,
Virani Se Ab KaaM Hai Aur Veerani Kis Ki Yaar Hui,
Dar Dar Ke QadaM Yun Rakhta Hoon Khwabon Ki Sharay Mein,
Ye Reg Abhi Zanjeer Bani Ye Chhanv Abhi Deewar Hui,
Har Patti Bojhil Ho Ke Giri Sab Shaakein Jhook Kar Toot Gayi,
Us Baarish Hi Se Fasal Ujdi Jis Baarish Se Taiyyar Hui,
Ab Ye Bhi Nahi Hai Bas Mein Ke HuM Phoolon Ki Dagar Par Laut
Chalein,
Jis Raah-Guzar Par Chalna Hai Wo Raah-Guzar Talvaar Hui,
Chhuti Hai Zara Jab Tan Ko Hawa Chubhte Hai Ragon Mein Kaante Se,
So Baar Khizayein Aayi Hongi Mehsoos Magar Is Baar Hui,
Wo Naale Hai Betabi Ke Chikh Uthta Hai Sannata Bhi,
Ye Dar Ki Shab MaluM Nahi Kab Tak Ke Liye Bedaar Hui,
Likhi Hai Shikastein Itni Jahan Maqtal Mein Wahan Ye Bhi Likh Do,
Kitni ShaaM-Sheeree Toot Gayi Kitne DushMano Ki Haar Hui,
Ab Gair Hawa Kitni Hi Chale Ab GarM Fiza Kitni Hi Rahe,
Seene Ka ZakhM Charag Bana DaMan Ki Aag Bahar Hui...
No comments:
Post a Comment