Monday, March 15, 2010

KhushiyaaN hamaari aaj sar-e-daar tak gayin

KhushiyaaN hamaari aaj sar-e-daar tak gayin
RuswaiyaaN bhii kuuchaa-o-baazaar tak gayin

Tanhaaiyoon ne faasale saare miTaa diye
parchaiyaaN merii terii diwaar tak gayin

Wo ehataraam-e-Gham thaa ke lab tak naa hil sake
Nazren uThiin to sar-e-hadd-e-guftaar tak gayin

Tum ne jalaayaa meraa nasheman to Gham nahin
ChingaariyaaN urin gul-o-gulazaar tak gayin

Garqaab hone waalon ko kuchh to milii madad
Sahil se kuch sadaayen majhadhaar tak gayin

No comments:

Popular Posts