Monday, March 15, 2010

Paa-Ba-Gil Sab Hai Rihayi Ki Kare Tadabir Kaun

Paa-Ba-Gil Sab Hai Rihayi Ki Kare Tadabir Kaun,
Dast-Basta Sheher Mein Khole Meri Zanjeer Kaun,

Mera Sar Haazir Hai Lekin Mera Munsif Dekh Le,
Kar Raha Ha Imere Fard-E-Jurm Ki Taharir Kaun,

Aaj Darwazon Pe Dastak Jaani Pehchani Si Hai,
Aaj Mere Naam Lata Hai Meri Taazir Kaun,

Neend Jab Khwabon Se Pyaari Ho To Aise Ahad Mein,
Khwaab Dekhe Kaun Aur Khwabon Ko De Taabir Kaun,

Ret Abhi Pichhle Makano Ki Na Waapas Aayi Thi,
Phir Lab-E-Saahil Gharaunda Kar Gaya Taamir Kaun,

Saare Rishte Hijraton Mein Saath Dete Hai To Phir
Sheher Se Jaate Hue Hota Hai Daamangeer Kaun,

Meri Chadar To Chhini Thi Shaam Ki Tanhayi Ne,
Beridayi Ko Meri Phir De Gaya Tashaheer Kaun,

Dushamno Ke Sath Mere Dost Bhi Aazaad Hai,
Dekhna Hai Khichta Hai Mujhpe Pehla Teer Kaun...

No comments:

Popular Posts