dekh to dil k jan se uthta hai
ye dhuan sa kahan se uthta hai
gor kis dil-jale ki hai ye falak
shola ik subah yan se uthta hai
khana-e-dil se zinhar na ja
koi aise makan se uthta hai
nala sar khenchata hai jab mera
shor ek asman se uthta hai
larti hai us ki chashm-e-shokh jahan
ek ashob wan se uthta hai
sudh le ghar ki bhi shola-e-awaz
dud kuch ashiyan se uthta hai
baithne kaun de hai phir us ko
jo tere astan se uthta hai
yun uthe ah us gali se ham
jaise koi jahan se uthta hai
ishq ik 'Meer' bhari paththar hai
bojh kab natawan se uthta hai
No comments:
Post a Comment