Tere Jaisa Mera Bhi Haal Tha, Na Sukoon Tha Na Karaar Tha,
Ye Ho Umr Thi Mere Humnahi Ke Kisiko Mujhse Bhi Pyaar Tha,
Main Samajh Raha Hoon Teri Kasak Tera Mera Dard Hai Mushtarak,
Isi Gam Ka Tu Bhi Aseer Hai, Isi Gam Ka Main Bhi Shikar Tha,
Fakat Ek Dhun Thi Ke Raat Din Isi Khwab Zaar Mein Gum Rahein,
Wo Suroor Aisa Suroor Tha Wo Khumar Aisa Khumar Tha,
Kabhi Lamha Bhar Ki Guftugoo Meri Uske Sath Na Ho Saki,
Mujhe Fursatein Na Mil Sakein Wo Hawa Ke Reth Par Sawar Tha,
Hum Ajeeb Tarz Ke Log The Hamare Aur Hi Rog The,
Main Khizan Mein Tha Uska Muntazir Use Intezar Bahar Tha,
Use Padhke Tum Na Samajh Sake Ke Meri Kitab Ke Roop Mein,
Koi Qarz Tha Kayi Roz Ka Kayi Ratjagon Ka Udhar Tha...
No comments:
Post a Comment