Barsoon ke baad daikha shakhs dilruba sa
Abb zehan main nahi hai par naam tha bhala sa
Abru khichay khichay say aankhain jhuki jhuki si
Baatain ruki ruki si lehja thaka thaka sa
Alfaaz thay k jugnu awaaz ke safar main
Ban jaye janglon main jis tarha raasta
Khawbon main khawb uss kay yaadon main yaad uss ki
Neendon main ghul gaya ho jaisay ke rutjaga sa
Pehlay bhi log aay kitnay he zindagi main
Wo har tarha say laiken aoron say tha juda sa
Agli mohabbaton nay wo namuradiyan deen
Tazah rafaqton say dil tha dara dara sa

No comments:
Post a Comment