Friday, June 18, 2010

Aansoo mein nay rok liye hain

Aansoo mein nay rok liye hain
khawaab gharoda tor diya hai
khat bhi saray phar diye hain
dil ko mein nay bandh liya hai

band ye hsaray khol na jana
tum mujhay ab yaad na aana

sheeish mahal ka ye sunder sapnay
tu nay chakna choor kiye hain
teray naam peh behtay aansoo
khamoshi say zabt kiye hain

zabt kay bandhan tor na jana
tum mujhay ab yaad na aana

ek ek kar kay saaray panchi
apnay gharon ko chalay gaye hain
prem nagar kay waa darwazay
mein nay thak kay band kiye hain

dar yeh saray khol na jana
tum mujhay ab yaad na aana

No comments:

Popular Posts