guzartay lamho main thak gaya hoon, bikhar gaya hoon
main saathiyon say bichar gaya hoon
ye saathion kee mufarqat bhee ajeeb shay hay
kay jitna arsa ye saath chaltay hain
chotee chotee fuzool baaton pay rooth jatay hain aur lartay hain
doston kay jawaan iraday shikast kartay hain
raastay kee saaoobaton say inhain daratay hain aap dartay hain
manzilon ko pukartay hain
magar inhee kay wujood hain jo musafaton ko nikhartay hain
guzartay lamho main sathion say bichar gaya hoon
main apnee tanhaee kay tahayyur say dar gaya hoon
main wo musafir hoon jis kay paaon main manzilain hain na rehgyzar hay

No comments:
Post a Comment