Friday, June 18, 2010

Apne honton se lagana chahta hun

Apne honton se lagana chahta hun, 
tere dil me samana chahta hun, 

tumhe apne pyaar me rang kar, 
apna ghar basana chahta hun, 

main tumse pyaar karta hun, 
haan main tumhen ye jatana chahta hun, 

tere anchal se apna anchal bandh kar, 
tumhen main apna banana chahta hun, 

gawahi denge hamari mangal suutr or sindhoor, 
jinse main teri khobsoorti badhana chahta hun, 

tere daaman per upna sar rakh ker , 
main khudko bhool jana chahta hun, 

tera pyaar mere liye hai ya nahi , 
aaj main ye aazmana chahta hun, 

ye hain mere dil k kuch armaan, 
jo main teri zindgi se chhahta hun

No comments:

Popular Posts