Usey Anjaan RaastOun Sey gUzar JAney Kii Khwaahish Thi
mOhabbat Mein Amar Ho Janey Kii
Mar Janey Kii Khwaahish Thi
Wo Kehta Tha Jeewan Teergii hAi
Rang Bharney hAin is Mein ROshnii Key
Aur Yeh hUm Ko mUkhtasir Sey Chand Lamhey Jo Mayassar hAin
Yeh Lamhey Hamein Aabad Karney hAin
Kisi Ko dOor Sey Dekhna
KiSsi Sey Baat Karni hAi
Jhaan Yeh Din Guzar Jaien
wOhien Pey Raat Karni hAi
wOh Kehta Tha
mOhabbat Ka kOii mOusam Nahe hOta
Yeh Har mOusam Ka Jazba hAi Jo Kabhi Kum Nahi hOta
AdhOori Si mOhabbat hAi Hamein Takmeel Karni hAi
mOhabbat Ko Naye Dhab Sey Basar Karney Kii Khwaahish
Usey Har Shab jAgati hAi
Na Janey kOn Si Chahat Usey Har Pal jAgatii hAi
Shanasa Tha Har Eik Pal Sey Per Anjaan Rehta Tha
bOhet Aabaad Tha Lekin bOhet Veeraan Rehta Tha
Usey Har Eik Ko Hairaan Kar jAney Kii Aadat Thi
mOhabbat Mein Amar Ho Janey Kii
Mar Janey ii Khwaahish Thi
No comments:
Post a Comment