Wednesday, April 29, 2009

Kama l-E-zabt ko khud bhee to aazmaoon gi

Kama l-E-zabt ko khud bhee to aazmaoon gi 
Mein apne hathon se us ki dulhan sajaoon gi 

Sapurd ker ke usey chandni ke hathon 
Mein apne ghar ke andairon ko laut aoun gi 

Badan ke karb ko woh bhee samajh na paye ga 
Mein dil mein ro'oon gi, aankhon mein muskaroon gi 

Woh kaya gaya ke rafaqat ke sare lutf gae 
Mein kis se rooth sakoon gi, kise manaoon gi 




Woh eik rishta-e-be-naam bhee nahi lekin 
Mein ab bhee us ke isharon pe sar jhukaoon gi 

Bichha diya tha gulabon ke sath apna wajood 
Woh so ke uthey to khawabon ki rakh uthaoon gi 

Jawaz dhoond raha tha nayi muhabbat ka 
Woh keh raha tha ke mein us ko bhool jaoon gi

Popular Posts