Tuesday, September 1, 2009

shab se bhi marasim mere barhtay howay nahin

shab se bhi marasim mere barhtay howay nahin
din main bhi ujalay mughe sajtay howay nahin

jalatay rahay shab-e-chiraag haan to yun hoa
rastay main musafir koi bhatkay howay nahin

mere shehr ki veerani sab dastaan keh rahi hai
laashon k dhair ab jo ruktay howay nahin

hai shor-o-ghul saans ki tanhaiyon main shaamil
sannatay bhi meri zaat se simtay howay nahin

chaltay rahay ta-hayaat mohabbat k wastay
rukay bohat jagah magar thaktay howay nahin

mohabbat bhi ek ajab dastaan hai suno
mil k rahay per saath rehtay howay nahin

khaaif hai zamana mere andaaz-e-tor se
guzar rahi hai umer per jhuktay howay nahin

mohabbat, inayat, ishq-o-aarzugi
rishtay mile bohat per apnay howay nahin

rooh ne uthaya hai zillat ka her safar
perhan pe mere khaar jo liptay howay nahin

najaane kaun tha woh roshniyaan saath le gaya
deepak kisi bhi haath main jaltay howay nahin

har shaks hai ku-baku magan shab-o-roz main
pochay koi kyun un say sajday howay nahin



_________________

No comments:

Popular Posts