Tuesday, September 1, 2009

mujh ko us se bhi ziada hai zaroorat us ki

chup ke alam mein woh tasweer si soorat us ki
bolti hai to badal jati hai rangat us ki

seerhiyan charhte achanak woh mili thi mujh ko
us ki awaaz mein mojood thi hairat us ki

haath chhooloon to laraz jaati hai patte ki tarah
wohi nakarda gunahi pe nadamat us ki

kisi tehri hoi sa-at ki tarah mehar ba lab
mujh se dekhi nahin jati ye aziyat us ki

aankh rakhte ho to us ki aankh ki tehreer parho
moun se iqrar na kerna to hai aadat us ki

khud woh aagosh kushada hai jazeere ki tarah
phele daryaon ki maanand muhabbat us ki

roshni rooh tak aati hai magar chhan chhan ker
sust roo abar ka tukra hai tabeat us ki

hai abhi lams ka ehsas mere honton per
sabat pheli hoi banhon pe harat us ki

woh agar jaa bhi chuki hai to na kholo ankhein
ab be mehsoos kiye jao rafaqat us ki

dil dharakta hai to woh aankh bulati hai mujhe
saans aati hai to milti hai basharat us ki

woh kabhi aankh bhi jhapke to lazar jaata hoon
mujh ko us se bhi ziada hai zaroorat us ki

woh kaheen jan na le rait ka tela hoon mein
mere kandhon pe hai tameer imarat us ki

No comments:

Popular Posts