Sunday, June 6, 2010

Ab wo aankhoon k shagufay hain na chehroon k gulaab

Ab wo aankhoon k shagufay hain na chehroon k gulaab
Aik manhoos udasee hai k mittee hi nahi
Itni bay rang hain yeh rang ki khugar aankhain
Jeisay is shehr-e-tamanah say koi rabth na tha
Jeisay dekha tha sarab
Dekh layta hoon agar koi shanasa chehra
Aik lamhay ko usey dekh k ruk jata hoon
Sochta hoon k berhoon oor koi baat karoon
Us say tajdeed-e-mulaqaat karoon
Laykin us shaks ki manoos guraizaan nazrain
Mughko ehsas delatee hain k ab us k leay
Main bhi anjaan hoon aik aam tamashaee hoon
Rah chaltay hwey in doosray loogoon ki terha

No comments:

Popular Posts