tum mere paas raho
mere qaatil, mere dildaar, mere paas raho
jis ghaDii raat chale
aasamaano.n kaa lahuu pii kar siyah raat chale
marham-e-mushk liye nashtar-e-almaas chale
bain karatii hu-ii, haNsatii hu-ii, gaatii nikale
dard kii kaasanii paazeb bajaatii nikale
jis ghaDii siinon men Duubate huye dil
aastiinon main nihaaN haathon kii rah takane nikale
aas liye
aur bachchon ke bilakhane kii tarah qul-qul-e-may
bahr-e-naasudagii machale to manaaye na mane
jab ko-ii baat banaaye na bane
jab na ko-ii baat chale
jis ghaDii raat chale
jis ghaDii maatamii, sun-saan, siyah raat chale
paas raho
mere qaatil, mere dildaar, mere paas raho
No comments:
Post a Comment