mujhe apna sitara dhoondhna hai
sitaroon se bharay is assmaan ki wusatoon main
mujhe apna sitara dhoondna hai
falak per kehkashan dar kehkashan ik bekarani hai
na us ka naam hai maloom na us nishani hai
bas itna yaad hai mujh ko azl ki subh jab saray sitaray
alwidai guftugoo kertay hoay rastoon pe niklay thay
too us ki aankh main ik aur tara jhilmilaya tha
usi taray ki soorat ka meri bheegi hoi aankhon main bhi
ik khawab rehta hai
main apnay aansoon main apnay khawaboon ko sajata hoon
aur us ki rah takta hoon
suna hai gumshuda cheezain jahan pe khoi jati hai wahin se mill bhi jati hain
mujhe apna sitara dhoondna hai
No comments:
Post a Comment