Sunday, June 6, 2010

Jagte main bhi soti hain


Jagte main bhi soti hain 
Kuch ankhein aisi hoti hain
Be mausam kalyon ki soorat hole hole khilti hain
Dunya ki is bheer main yunhi ek lamhe ko milti hain
Mehfil mehfil ghoomne wale
Loag akele ho jate hain
In ankhon ki khoj main aksar
Apne aap ko kho jate hain
Main ne bhi dekhi theen ek din
Aisi hi do mushkil ankhein
Halki sabz aur bojhal ankhein
Yoon to ab tak jitni guzri khush chashmon main guzri hai
Lekin aise gehre sagar
Lekin aisi sahil ankhein..!
Yoon lagta tha jese meri rooh main rasta ban jaey ga
Ya phir ek be naam sa parda har manzar per tan jaey ga
Yoon lagta tha jese ab woh
Maur bas ane wala hai
Jis ke baad ujala hai
Ya phir baqi uamr ka rasta ek be maani haala hai!
Un ankhon ki raah main sab yeh
Khwab aur khadshe rakhoon ga
Ab jo un ko dekhoon ga
Aur dekh saka….
To puchoon ga….!

No comments:

Popular Posts