tumain kis nay ye keh dala
keh tum ko bhool jaon ga
tumhain maloom bhi hai ye
ke tum ye janti bhi hoo
tumharay bin adhoora hoon
khafa ho jatay ho jab tum
aur hum se dour jatay hoo
ye sansain ruk se jati hian
tumhain wapis bulati hain
ager main raat ho jaon
tum us raat ka chand ho janan
aur jab chand na ho ga
too koi raat kia hoo gi?
ager main jism ban jaon
to tum rooh ho meri
jism aur rooh ka nata purana hai
tumhain itna batana hai
gar rooh jism se aazad ho jaye
too baqi kuch nahi rehta
jism ka ik dhair rehta hai
jo thori dair rehta hai
too kyon ye sochti hoo tum
ke tum ko bhool jaon ga
jo mera tum se nata hai
usay qaim hi rehna hai
tumhain itna batana hai
tumhain itna hi kehna hai
tumharay bin adhoora hoon
too kyon ye sochti hoo tum
tumhain main bhool jaon ga
No comments:
Post a Comment