Sunday, June 6, 2010

Mohabbat Rog Hai Jaana


Mohabbat Rog Hai Jaana 
Ajab Sanjog Hai Jaana 
Yeah Kaisa Jog Hai Jaana 

Baray Borhay(Elders) Batatay Thay 
Kai Qisay Sunatay Thay 
Magar Hum Mantay Kab Thay 
Yeah Sab Kuch Jaantay Kab Thay 
Yeah Baatein Zikir Ke Qabil 
Bhala Gardantay Kab Thay 

Anna Ke Takht Per Bethay 
Humein Maloom He Kab Tha 
Anna Ke Takht Se Oper 
Bohat Sari Bulandi Per 
Kehin Pariyoon Ke Jurmat Mein 
Tere Pairon Ki Payal Mein 
Tere Chhotay Se Gaaon Mein 
Ghani Zulfon Ki Chaaon Mein 
Sitaray Chand Souraj(SUN) 
Walehana Raqs Kerte Hein 

Humein Maloom He Kab Tha 
Tere Qadmon Ki Aahat Per 
Gulabi Muskrahat Per 
Tere Honton Ki Jumbish Per 
Tere Sar Ke isharay Per 
Sada-e-Dilbrana Per 
Nigah-e-Qaatilana Per 
Jafa-e-Mehermana Per 
Adaa-e-Kaafirana Per 
Chamun(Garden) Ke Phool Saray 
is Tarah Se Dheeyaan Dete Hein 
Zara Se Wasl(Meet) Ke Jhansay 
Mein Apni Jaan Dete Hein 

Humein Kab ilim(Knowledge) Tha Jaana 
Tere Pekar Se Dhul Ker 
Chandni Her Su(Taraf) Bikharti Hai 
Shab-e-Mehtaab Ki Doshezgi 
Kaisay Nikharti Hai 
Teri Payal Ki Chhun Chhun 
Mun Mein Kia Ghanti Bajati Hai 
Teri Awaz Veeranay Mein 
Kia Jaadu Jagati Hai 
Tere Naghmay Faza Mein 
Kis Tarah Jaltrang Bajatay Hein 
Bohat Pukhta iraday!!!! 
Kis Tarah Se Toot Jaatay Hein 

Humein idraak He Kab Tha 
Humein Kamil Bhrosa Tha 
Humaray Saath Kisi Soorat 
Bhi Aisa Nehin Ho Ga 
Dil-e-Naadaan Kabhi!!! 
Qaboo Se Be-Qaboo Nehin Ho Ga 
Yeah Duniya Daar!!! 
Duniya Daar Se Saadhoo Nehin Ho Ga 

Magar!!! 
Magar Phir Yoon Hoa Jaana 
Najaanay Kion!! Hoa Jaana 
Bara Afsoon!!! Hoa Jaana 
Jigar Ka Khoon Hoa Jaana 

Tere Abru Ki ik Junbish 
Se Ghaail Ho Gaye Hum Bhi 
Baray Be-Multafit Phirtay Thay 
Maail Ho Gaye!!!! Hum Bhi 
Sakhawat Kerne Aaye Thay 
Aur Sail Ho Gaye Hum Bhi 
Baray Borhoon Ki in Baatoon Ke 
Qaail Ho Gaye!!! Hum Bhi 
Ke 
Mohabbat Rog Hai Jaana 
Ajab Sanjog Hai Jaana 
Yeah Kaisa Jog Hai Jaana

No comments:

Popular Posts