wafa ki khair manata hon bewafaee mein bhi
mein os ki qaid mein hon qaid se rihaee mein bhi
laho ki aag mein jal bujh gaye badan to kula
rasaee mein bhi khasara hai na rasaee mein bhi
badalte rehte hain mosam guzarta rehta hai waqt
magar ye dil ke wahen ka wahen judaee mein bhi
lihaz-e-hurmat peman na pass hum khawabi
ajab tarha ke tasadam thai aashnaee mein bhi
mein das baras se kisi khwab ke azab mein hon
wohi azab dar aya hai is dahaee mein bhi
tasadam dil-o-dunya mein dil ki haar ke baad
hijab ane laga hai ghazal saraee mein bhi
mein jaa raha hon ab os ki taraf osi ki taraf
jo merey sath tha meree shikasta paee mein bhi
No comments:
Post a Comment