Sunday, June 6, 2010

kabhi ghum yoon bhi hota hai


kabhi ghum yoon bhi hota hai 
ke sansain toot jati hain 
kisi ki rah tuk aa ker 
nigahain sookh jati hain 
jinhain aana hoo jevan main 
wohi aanay nahi patay 
jinhain aana hoo khawaboon main 
wo rasta bhool jatay hain 

kabhi ghum yoon bhi hota hai 
jahan dil apna khilta hai 
wohin mosam badaltay hain 
humain jo naam lena hoo 
amanat aur ki hoo wo 
humain jo baat kerni hoo 
sira wohi nahi milta 

kabhi ghum yoon bhi hota hai 
jahan phoolon ki aahat hoo 
khizaan bhitaan ke aati hai 
koi dharkan sunaye gi 
humain kia raaz ki batain 
kabhi jab hath dil per hoo 
too dil hi mil nahi patay 

kabhi ghum yoon bhi hota hai 
ke lawa beh nahi pata 
khawahish aisi hoti hai 
magar hum roo nahi saktay 
sar-e-maqtal kharay ho ker 
kabhi tum ko pukarain too 
sadain mil nahi sakti 
kabhi ghum yoon bhi hota hai 
ke maar janay ko dil chahay 
koi marnay nahi deta 
kabhi ghum yoon bhi hota hai 
humain hi ghum kyon hota hai 
usay ghum kyon nahi hota

No comments:

Popular Posts